Woh!
main aankde milata reh gaya
woh hisaab kar ke chal diye
main lafz dhoondhta reh gaya
woh poori baat karke chal diye
uski aankhon mein jo sawaal the
mere lafz unhe na jhuthla sake
main javaab dhoondhta reh gaya
woh lajavab hokar chal diye
mere khoon mein thi ravaangi
unke aa jaane se bhar gayi
main sukoon dhoondhta reh gaya
woh sailaab de kar chal diye
kabhi gir pada, kabhi uth gaya
kabhi raaston mein bhatak gaya
main khud ko dhoondhta reh gaya
woh aaeena dikha kar chal diye
main aankde milata reh gaya
woh hisaab kar ke chal diye
main lafz dhoondhta reh gaya
woh poori baat karke chal diye