Badlaav
Unka kehna hai,”badlaav bahut zaruri hai”
Phir kyun suraj har roz niyam se, subah savere aata hai
Aur sham ki chaadar odhe, chup chaap kahin so jaata hai
Kyun nadi aaj bhi behti hai, saagar mein mil jaane ko
Kyun saagar dharti ke tatt ko, chookar vaapis ho jaata hai
Kyun ghadi ki suyiyaan nir antar, ek taal pe chalti rehti hain
Kyun har mausam us hi jagah, har saal laut ke aata hai
Woh chaahte the sab kuchh badle, so alag raah pe nikal pade
Main bhi kuchh der wahaan ruk kar, kissi aur disha mein nikal gaya
Kuchh ek baras hi beete hain, ya umra ka jalsa guzar gaya
Chalte aaj ki jaldi mein, main guzre kal ko visar gaya
Thoda thoda dono badle, na jaane kitna badal gaye
Na woh mujhko pehchante hain, na main unko pehchanta hun
Aur unka kehna tha, “badlaav bahut zaruri hai”